Oman ke tat ke paas Bharatiya jahaz MSV Al Jusufi par 'aggyat hawaai cheez' se hamla, Gujarat ke naavik Gandhar Ajij ki maut; 13 crew surakshit
Jahaz par 14 Bharatiya savaar the. Shipping Mantri Sarbananda Sonowal ne maut ki pushti ki; MEA ne hamle ki ninda karte hue tanaav kam karne ki apeel ki.

Bharatiya jhande waala jahaz MSV Al Jusufi Somvaar shaam Oman ke Limah ke paas ek 'aggyat hawaai cheez' ki chapet mein aa gaya. Jahaz par savaar 14 Bharatiya naavikon mein se Gujarat ke Gandhar Nahim Ajij ki chot ke kaaran maut ho gayi, jabki baaki 13 ko Omani Coast Guard ne bacha liya. Hamla kisne kiya, iski aadhikaarik jaankaari abhi saamne nahi aayi hai.
Kendriya Shipping Mantri Sarbananda Sonowal ne maut ki pushti karte hue parivaar ke prati samvedna jataayi. Videsh mantralaya ne Tuesday ko bayaan jaari kar hamle ki ninda ki aur kaha ki Oman mein Bharatiya dootavaas sthaaniya adhikaariyon ke saath milkar bache hue crew aur mritak ke shav ki jald vaapsi ka intezaam kar raha hai. MEA ne tanaav kam karne aur vyaapaarik jahazon par hamle band karne ki apeel bhi ki.
Business Today ki report ke mutabik IMO aur UKMTO ke aankde batate hain ki sangharsh shuru hone ke baad se 120 se zyada vyaapaarik jahazon par hamle ho chuke hain. Yeh ghatna aise samay hui hai jab Hormuz mein America aur Iran ke beech tanaav aur baatcheet dono saath-saath chal rahe hain.